Mujhe apne khuda par itna bharosa hai
Jab bi dega umeed se zyada dega

 

 

 

Chauthi Ghazal

Ghazal    1 - 2 - 3 - 4

 

Jis par mujhe Zarrorat se zyada guman tha
Dil us shakhs ka bahut baeiman tha

Bikhra hua pada tha ek saaya uske pass
Koei Aajnbee nahivo mera Arman tha

Kahkhon me bazm ke dab gai siski meri
Mamuli thi hasti meri, bahut chota nishan tha

Khush tha jise phoonk kar mazhabe junoon me
Bad me malum hua wo mera makan tha

Dosti bhi doston ne nibhai to kis jagah
Bas zindagi se char kadam dur shamshan tha

Bhukh ka kahi mazahb 'Deepak' hota nahI
Kafir ke sath kha gaya jo Muslman tha