Jidhar bhi dekha bebasee ka tamasha dekha
Koi bhukha koi nanga ,koi Peyasa dekha
Hamesha julm ke mukadar me ujale dekhe
Aur takadir me pasine ki dhuna sa dekha
Jis bhi chirag ne chaha ladna andhera se
Sir us chirag ka dhar se tarasha dekha .
Ek ilak Safed posh ki jo padi aaina par
Aaina siyha ho gaya ,chehara zara sa dekha
Maut se to hiransa n tha koi bhi shahar me
Jisko bhi hamne dekha, jindagi se hiransa dekha .