Krodh se aakhir kab nirman hua hai ?
Ugarta chhin leti aadmiyat
Dhamniyo me bhar dei vehshiyat
shan me kar jati palayan chetna
Aur nritya karti rakht me utejna
Utejna se kab koi smadhan hua hai
Krodh se aakhir kab nirman hua hai ?
Kuchh nahe hota tapan se dekhna
Dhuna uthta hai bas milti vedna
Krodh me chingari jab koi ghumti
lautkar fir apan hi ghar chumti
Bad me barbad sirf insan hua hai
Krodh se aakhir kab nirman huaa hai ?
Aankhon me sholey liye jo bhi hua
Jab bhi hua tab bahut bura hua
Khun se lathpath tamam sadiyan hui
Krodh me jab bhi kabhi khanjar chuaa
Aant me taan apna lahoo loohan hua hai
Krodh se aakhir kab nirman huaa hai ?
Taish sirf vidhvans ka pryaye hai
Krodh kuchh kshan ke liye sukhaye hai
Ugrata hai kuchh paalo ki prasanta
Aur kuchh der bad chir -nagnata
Krodh se aabad sirf shmshan huaa hai
Krodh se aakhir kab nirman huaa hai ?