Ek satth varshiye netraheen vyakti
Jo shayad rasta bhool gaya tha
Ek sunsan Sadak par akela chala ja rha tha
Raah me khadi ek deewar par chhadi lagakar bola
Kya aas -pas koi hai ?
Paas me upasthit nari ne kaha - baba kha jana hai
Netrheen vyakti bola beti gali no.-7 ka rasta bata do
Agar ho ake to mord tak hi pauncha do .
Tabhi pass ki masjid pe khade ek Muslim rehnuma ki
Is vakiye pe, painee nazar padee.
wehe neta chillaya - kafir ! Muslim ladkI ko chedta hai
Akela dekhkar rasta rokta hai .
BUs Zara sI der me sadken khun se lal thee
Shehar me dekhte hi goli marneke aadesh the
Kyunki Shehar me mazahbi tufan uth chuka tha
Bhavnao ka kaum se gla ghut chuka tha .
Mandir tode ja rahe the ,mazjide ukhadi ja rahi thi
Insano dvara insan ki shakle bigadi ja rahi thi
Dono dhrmo ki alag aayojit sbhayen ho rahi thi
Kisko marna hai ki chalen niyojit ho rahi thi.
Us Neta ka Ghar to daulat se talab ho gaya tha
Par Shehar me lashon ko ginna behisab ho gaya tha
Har taraf se zakhmiyo ki kraha aa rahi thi
Unme us netraheen ki bhi sada aa rahi thi
waha dua thi, shikayat thi , ya shukriya tha
Shor me ye to samajh nahi aa raha tha
Par bar-bar wo yahi kahe ja raha tha
Acha hua bhagvan jo tune mujhe aankhe nahi dee
Isse acha to ye hota ki kan bhi n deta
Taki mai, bhavnaon ki krahen to n sun pata
Bevajah marne walo ki aahen to n sun pata .
Ant me dono hathon ko milakar , wo bola chillakar
Sabko bhala kar prabhu , tu sabka bhla kar .